Ye to sabhi jante hi honge ki web browser me mozilla firfox sabse achha mana jata hai ,main bhi isi browser ka use karta hoon apni daily life me.Isko 2004 me develope kiya gaya tha aur aaj ye duniya ka no.1 web browser ban chuka hai ,lekin is popular browser ka use karke aap soch rahe hai iski internet speed slow hai to aap kuchh new try kar sakte hai firefox ke sath ,main kuchh tricks bataunga jisse sure hai aap apne computer ki internet speed ko kafi had tak badha payenge wo bhi bahut hi asan tarike se.
Agar ap slow internet se paresan hai to is post ki help se aap apne dheeme internet ko tej kar paoge bas kuchh asan se steps se.Main aapko fast internet provide nhi kara sakta to kya hua kam se kam aapko kuchh tricks and tweeks to bata hi sakta hoon taaki aap apne slow connection ko sudhar kar sako.
Method 1: (Using Pipelining)
1. Sabse pehle apne mozilla ke url baar par type kariye about:config aur enter ki button
2 . dabayiye.Agar aapko warning dikhe to simply wanha par likha hoga "i will be carefull.I promise" is par click kar dena.
3 . Ab search baar me aap search kariye network.http.pipelining aur iski value ko true par set kar dijiye double click karke.
4 . Ab dobara aap search karke find kijiye network.http.pipelining.maxrequests aur is par right click karke modify par click karke iski value ko 100 par set kar dijiye
5 . Ab fir se search kijiye network.http.proxy.pipelining aur iski value ko true par set kar dijiye.
Now ab simply apna mozilla browser restart kariye to aap dekgenge ki aapke internet ki speed pehle se behtar hogi.
Method:2 (Using Addons)
Agar aap mozilla user ho to aap addons ke baare me to jarur hi jante honge ,to aise kuchh adons hai jo aapki speed ko increase karne me aapki help kar sakte hai.Ye yad rakhe ki jitna ho sake kam se kam adons ka hi use kare isse bhi speed par fark padta hai.Main 2 addons ke baare me bataunga jo aapki speed gain karne me sahayak honge.1 FasterFox lite
2 SpeedFox
Note: Aap inhe mozilla ke addons store se download kar sakte hai.
Method:3 (Minimizing memory usage)
Kuchh inbuilt tricks hoti hai jo browser ki speed ko badhan me kaam aati hai jaise memory ko minimize karna ,iske liye aap kya kariye sabse pehle address baar me jayiye aur ye type kariye about:memory ar enter ki button dabayiye.isse aapke samne ek detailed screen khul kar aa jayigi jisme kafi sari information hogi,yanha par aapko ek button dikhegi jiska naam hoga "free memory usage" is par click karna isse aapki memory freed ho jayegi aur aapke browser speed ko optimize kar degi.Dhanyabaad post ko padhne ke liye......