Quantcast
Viewing all articles
Browse latest Browse all 100

Top 10 Best Competitive Exam Preparation Apps For Android mobile


Hum sabhi ke paas android phone to hota hi hai to kyon na use faltu ke kaam ki wajah apni study ka madhyam bana le jisse apko bhi achha feel hoga aur aapko exam nikalne me safalta bhi milegi.Aaj ka post thoda different hai ,Extratipstricks ke ek reader ne mujhe email kiya jo comptitive exam ki taiyari kar raha tha ,usne mujhe kuchh aise apps ke baare me puchha jo uske comptition ko simple bana de matlab use sabhi jankari interet ke madhyam se hi mil jaye android applications ke jariye .To main socha kyon na un sabhi apps ke baare me uske alava apne aur bhi aise readers ke sath share karu jo different different exam jaise Banking, Railway and Defense,ssc cgl,LDC,Civil services etc   ki prepration kar rahe hai.Main yanha par kuchh aise best android apps ke baare me aapko bataunga jisse aapki knowledge me jarur gain hoga aur aapko wahi exam fir simple lagne lagega,lekin ye to hum sabhi jante hai kisi comptition ko crack karne ke liye lagan aur mehnat ki jarurat hoti hai.

Dosto aaj kal ke comptition itna jyada badh gya hai ki government job ke liye ek chhoti si vacancy me bhi lakho log apply kar dete hai,lekin kisi ne sach hi kaha hai aaj ki duniya me safalta hard work se nhi balki smart work se milti hai.Aur aapko smart work karne ke liye aapko smart banna padega aur wo aapko aapka android mobile bana sakta hai.Yanha par main jo app list karne ja rha hoon unse na keval aapke time ki bachat hogi balki kis exam me kya puchha jata hai knha se puchha jata hai kya uska sahi syllabus ,kaise study plan kare time table banaye ye sab aap android apps ki help se kar sakenge.To chaliye ek ek karke hum un apps ke bare me jante hai dosto.

List Of Best Competitive Exam Preparation Apps

1. Grade up.

Grade up Android App ek bahut hi high rated app hai jiski rating 4.5 hai google play store par ,iss app ki help se aap alag alag exam jaise IBPS, SSC, GATE and LIC ki preparaion bahut achhe tarike se kar sakte hai .Ye vises taur par inhi exam ke liye design kiya gaya hai.Iski sabse achhi baat kya hai ki ye practic set bhi provide karata hai upar diye gaye exam ke.Aur sath sath un practice sets ke answer bhi bahut hi saralta se and achhe se explain karke provide karata hai.Is app ki ek aur khasiyat hai ki agar aapko koi doubt hai aur aap wo clear karna chahte hai to simply us doubt ko wanha par post kar dijiye iske baad jo expert honge wo aapko aapke doubt clear karne me aapki help karenge.
Download From Playstore

2. GRE Exam Prep.

GRE Exam Prep Android App ek aur aisa app hai jo exam ke point of view se bahut important hai isko lagbhag 5 lack logo ne download kiya hua hai.Iss app ke developer ne is app ko khas taur par GRE exam ki preparation ke liye develope kiya hai.Is app me aapko New GRE syllabus bhi diya gya hai aur iske sath sath aap apni skil ki bhi testing kar sakte hai.Is app ki sabse achhi baat hai ki isme 3500 flash cards diye gye hai jisse aapki vocabulary majboot hogi.Aur ek tarike se jab aap iss app ko use karenge to janenge ki isme GRE level Ke bahut sare questions honge jo aapki preparation me aapki help karenge aur aapki skil power ko badha denge.
Download From Playstore

3. Jagran Josh.

Jagran Josh Android App ko to aap jante hi honge ye ek light weight and awesome GUI bala app hai ,ye bahut hi popular app hai aur aapko isko jarur use karna chahiye agar aap comptition ki taiyari kar rhe hai.Naam se hi dikh rha hai ki is app ko jagran josh ne develope kiya hai.Ye app un logo ke liye bahut faydemand hai jo various type of bank exam ki taiyari kar rhe hai.Itna hi nhi isme aap sab notification,syllabus bhi pate rahenge jisse aapko aasani hogi sab cheejo ko sahi se samjhne me.Isme aapko study meterial bhi mil jayega jo exam point of view se faydemand honge.It is another wonderful app for competitive exam.
Download From Playstore

4. TYC Online Preparation.

TYC online Preparation Android  app mere favorite android app me se ek hai ,is app ko use karna to must hai dosto agar aap government job ke liye taiyari kar rhe hai.Ye bahut hi high rated app hai isko google play store par 4 out of 5 rating mili hai.Ye app aapko sabhi Government Jobs, Gate, CAT, RI, SSC, UPSC ka combo pack provide karata hai jisse aapki preparation aur bhi achhe tarike se kar sakte hai.Aap bahut hi easily study material download kar sakte hai.Ye app sabhi exam ke latest syllabus bhi provide karata hai.
Download From Playstore

5. SSC CGL Exam Preparation 2016.

Ye ek bahut hi famous app hai jo specially un logo ke liye design kiya gya hai jo ssc ke exam ke liye taiyari kar rhe hai.Ye SSC  mock test series bhi provide karata hai aur sath sath answer ka bhi explaination  achhe se provide karata hai.Ek tarike se dekha jaye to ye app ssc students ke liye plateforn ki tarah work karta hai.Isme daily bahut se question include karta rehta hai jisse jo bhi new question create hote hai wo turant hi iss app me update kr diye jate hai jo exam ke lihaaj se bahut sahi hai.Ssc ke sabhi exam ke notification bhi aapko is app me milte rahenge aur uski current jankari milna kitna jaruri hai ye to aap jante ho honge.Iske lagbhag 1 lack logo ne downoad kiya hai and iski rating 4 hai google play store par.
Download From Playstore

6. RRB Railway Exam.

Agar aap RRB Railway ki taiyari kar rhe to ye app aapke liye bahut helpful app hai.Ye sabhi type ke railway exam ke liye jaruri app hai isse aapki mehnat kam karni padegi aur safalta achhi mil jayegi.Is app me apko bahut si knowledge bale content milenge padhne ke liye jaise world's events,GK,history and politics  etc ye sab aapko milenge usme padhne ke liye.Itna hi nhi is app ki help se aapko new job ki notification bhi milti rahengi jisse aapko aapke aas paas ke state me nikli vacancy ka bhi pata chalta rahega jisse aap in sab cheejo se bhi aware ho jayenge ki aapke aas paas kya chal raha ho.Isko lagbhag 1 lack se bhi jyada log prayog karte hai to aap sochiye ki aap un logo se kitne peeche hai isiliye apne talant ke bal par exam crack kariye aur jeevan me safal hone ka pryas kariye.
Download From Playstore

7. SBI PO Exam Preparation.

SBI PO Exam Preparation Android App ke naam se hi pata chal raha hai ye app un logo ke liye specially design kiya gaya hai jo SBI PO ki taiyari kar rahe hai.Is app ko Mad-guy labs ne designe kiya hai.Isme easy tarike se sabhi information ko provide karaya gaya hai ,iske unique interface ki wajah se isko use karna bahut hi aasan hai.Filhal to ye app itna popular nhihai kyonki isko abhi abhi design kiya gya hai aur isko 10000 logo ne download bhi kar liya hai.Is app me previous year ke question paper bhi provide kara diye jate haia aur sath sath iska latest syllabus bhi upload kar diya jata hai.
Download From Playstore

8. ABFM Exam Preparation.

Ye app specialy medical ke students ke liye designed kiya gaya hai jo ABFM exam ki taiyari karte hai.Is app ki khaas baat ye hai ki isme proper sylabus ke sath sath important videos bhi provide karaye jate hai jisse student ko cheeje samjhne me aasani hoti hai.Ye app puri tarah se free to use hai,yaani aapko koi bhi rupay nhi dene padenge videos bagairah dekhne ke liye.Aap apne upcoming exam ki dates bhi dekh sakte hai and 10000 se jyada log is app ko download kar chuke hai.
Download From Playstore

9. SSBCrack Exam.

SSBCrack Exam Android App ek another best and most powerful app hai jo specially Indian defence exam jaise NDA, AFCAT, CDS etc ki taiyari karne bale students ke liye banaya gaya hai.Iss ap me wahi formate diya rehta hai jo newly update ho chuka hai isiliye ye app bahut faydemand hai in sabhi exams point of view se.Itna hi nhi aap apni progress ko bhi determine kar sakte hai aur apne aapko test kar skate ho is app ki help se.Ye aapko question provide karayenge aur baad me aapko uski report bhi dete hai ki aapko kitne me se kitne no. mile hai.Is app ko 50000 se jyada log download kar chuke hai to  der mat kijiye aaj hi is app ko download karke exam ki taiyari ko aur behtar banayie.
Download From Playstore

10. Test Prep For AIPMT.

Naam se hi pata chal raha hai ki ye app medical ke students ke liye banaya gaya hai jo AIPMT ki taiyari kar rahe hai ,haalanki ab AIPMT ko khatm kar diya gaya hai aur iski jagah par NEET aagya hai lekin isse is app par koi fark nhi padega kyonki syllabus to milta julta hi hai dono ka .Is aap ki help se aap apni chemistry,physics and biology ke concepts ko achhe se samjh sakenge aur apne aapko test bhi kar sakenge.Isme aap sabhi type ke previous paper bhi dekh sakte hai with solution ke.Iss app me aapko 2250 se bhi jyada important question dekhne ko milenge jisse aapki knowledge aur badhegi kam nhi hogi dosto.To iss app ko try jarur kariye.
Download From Playstore
To dosto batayiyega jarur ki kaise lage aapko ye app kyonki ye aapki job ka sabaal hai ,maine apni taraf se puri kosis ki aap logo ko achhi list provide karane ki.Agar aap aur bhi achhe apps ke baare me jante hai to jarur share kijiye hum sabhi logo ke sath jisse hum sabko aur bhi achhe app ki jankari mil jayegi.

Agar aapko ye post achha laga ho to isko please share karna mat bhooliye apne dosto ke sath unki bhi help kariye Main to yahi chahunga ki sabhi log achhe se job le le aur apne jeevan ki shuruaat naye tarike se kare.


Agar aapke paas time ho to ye special article bhi padhiye:
 
  
    

Viewing all articles
Browse latest Browse all 100

Trending Articles