Quantcast
Channel: ExtraTipsTricks(ETT)
Viewing all articles
Browse latest Browse all 100

Youtube Videos Ki Puri Playlist Kaise Download Kare In Just One Click

$
0
0

Youtube ek bahut hi achha jariya hai apni knowledge ko badhane ka ,aur sabhi log lagbhag iska istemal achhe se karte hai aur bahut kuchh seekhte hai.Youtube duniya ki sabse popular aur sabse jyada use ki jane bali video plateform hai,jisme lakho videos dale huye hai jo tarah tarah ki knowledge provide karane me hum sabki help karte hai.I think is post ki jarurat un logo ko mehsoos hoti hogi jo apni jyadtar study youtube se karte hai,kyonki youtube ek bahut hi behtareen way hai apni skils ko improve karne ka.Main khud persionaly youtube ka bahut jyda use karta hoon kyonki mujhe usse bahut kuchh seekhne ko milta hai ,duniya bhar ke talented logo ki knowledge agar ek sath dekhne ko milti hai to wo hai youtube.Mere jaise bahut se log hote honge to youtube se videos ko download karte honge aur unhe baad me apne  jehn me utarne ke liye unhe achhe se follow karte honge.


But ek jagah unhe problem aati hogi ki wo puri ki puri playlist ko download nhi kar pate honge ya aap me se bahut se kar bhi lete honge simply youtube video ke url me last me ss type karke.Lekin aaj ke post me main un logo ko ye bataunga ki kaise youtube ki complete playlist ko sirf ek click karke hi dowload kar sakte hai jo bahut hi simple hai dosto.


Step By Step Method Playlist Ko Download Karne Ke Liye

Aap neeche diye gaye steps ko sahi se follow kariye isse aap youtube ki full playlist ko download kar payenge aur wo bhi bahut aasani se.

Step 1) Sabse pehle aapko youtube.com par jana hoga ,aur yanha par kisi perticular channel par jakar uski playlist me jana hoga jise aap download karna chahte hai.

Step:2) Ab simply aapko us playlist ke url ko copy karna hoga wanha se jo aapke web browser ke address baar me hoga.

Step 3) URL copy karne ke baad simply is website par jayiye Downvids.net

Step:4) Yanha par apko ek box milega usme aapko wo playlist bala URL dalna (paste) karna hoga jo aapne youtube se copy kiya tha and download button par click karna hoga.

Step:5)
Ab sirf aapko video ke samne jo download as video ki button hogi us par click karna hoga ,isse aap aasani se apne sabhi youtube playlist ke videos ko download kar sakenge.
 

Note: Agar upar diye gaye method me koi problem ho rahi hai to aap simply ek software download karke install kar lena apne computer me jiska naam hai 4kvideo downloader.Isse aap badi hi aasani se playlist ke sabhi videos ko download kar lenge. 

Agar aapko ye post faydemand laga ho to please ise share jarna na bhoole .
Thank you..

Viewing all articles
Browse latest Browse all 100

Trending Articles