Quantcast
Channel: ExtraTipsTricks(ETT)
Viewing all articles
Browse latest Browse all 100

zANTI A Best Of Best App for Ethical hackers-Must Read Article In Hindi

$
0
0
Aaj ke is detailed post se aap bahut kuchh seekhne bale hai ,aap is post me ek application ki help se wo sab kuchh karna seekh jaoge jin term ke baare me bade bade white hat hacker baat karte hai,jaise MITM attacks, MAC address spoofing, scanning, password auditing, vulnerability checks and much more.Main baat kar raha hoon Zanti application ki jo muhe aaj tak ka sabse best apps laga hai android mobile ke liye.Aap jab isko chalana jaan jayenge aur iske features ko samjhne lagenge to aapko bhi ye best app lagega ye mera promise hai aapse.Actually kya hai ki is app ko khaas taur par security professionals ke liye banaya gaya and isko develope kiya hai Zimperium Mobile Security ne.

Must Read:

C or C++ ke program ko compile and execute kaise kare puri process hindi me jane?
Pendrive Ko RAM Ki Tarah Kaise Use Kare Apne Computer Me
Persional Photo Aur Videos Ko Lock Kaise Kare Password Dalkar Android Mobile Me 
Apne USB Pendrive Me Password Kaise Lagaye aur data chori hone se bachaye

Zanti ek penetration testing tool kit hai,And basically ye kisi bhi network pr attack karne ke liye aapko allow bhi karta hai.Jaisa ki maine aapko upar bataya hai ye different task jaise MITM,Scanning etc  ko pura karne ke liye bahut helpful hai aur ek perfect toolkit hai hackers ke liye.

So today main aapko Zanti ke baare me step by step guide dunga kaise isko use kiya jata hai aur iske differents features ko kaise perform kiya jata hai.Lekin aage badhne se pehle aap sirf itna jaan lo ki aap akhir kya kya kar sakte ho is application ki help se kyonki agar jab tak aapko base hi nhi samjh aayega to aage badhne se koi fayda hi nhi hai.To chaliye aap neeche dekhiye ki kaun kaun se feature Zanti support karta hai as well as perform bhi karta hai

    Change device's MAC address.
    Create a malicious WiFi hotspot.
    Hijack HTTP sessions.
    Capture downloads.
    Modify HTTP requests and responses.
    Exploit routers.
    Audit passwords.
    Check a device for shellshock and SSL poodle vulnerability.
Main jaanta hoon aap upar ke point padh kar kafi Excited ho rahe honge lekin in sab cheejo ko sirf aap apni knowledge ke liye seekhna kisi ko nuksan pahuchane ke liye ,Mera maksad sirf itna hai ki main apne Indians ko bo sab knowledge dena chahta hoon jo dusre country ke bachhe sirf mehj 9-10 saal me hi seekh jate hai Aur hum indians ko in sab ke baare koi jankari hi nhi hoti hai,kyonki hum logo ko sirf padhaya jata hai practically karke nhi dikhaya jata hai.So keep reading and know how this app work for different task.
Let's start!
Note: Aage badhne se pehle main aapko bata du ki Zanti app sirf rooted device par hi work karta hai so pehle aap apna mobile root kar lijiye otherwise aap kuchh bhi nhi kar paoge,phone ko root banane ke liye maine pichhle month ek post publish ki thi aap use padh sakte hai is link par jakar.

How To Install and Use of  zANTI In Hindi

Step:1)   Sabse pehle to aapko google play store ka ek alternative download karna hoga jiska naam hai 9apps is link par jakar kyonki 9apps me aapko bahut se aise hacking apps mil jayenge jo apke liye useful honge aur agar aap hacking seekh rahe hai apne android mobile se to ye 9apps aapke liye must hai so isko download jarur kariye , and  zanti app hai wo aapko google play store me nhi milega balki 9apps me mil jayega .Ya fir zanti app ko aap neeche di gayi link se download kar lo.
Download zANTI 2.2. (Official Link  | MediaFire Link  )

Step:2)  Ab simply zanti app ko apne mobile me install kar lijiye ,aur dhyan rakhiye mobile rooted hona chahiye,aap jab ise open karenge to root permision mangega to simply root permision grant kar dena.

Step:3)  Iske baad jo screen khul kar aayegi usme aap apna email addres daal dijiye and "I accept Zimperium's EULA" ke aage bale box me tik kr dijiye.And iske baad "Start Now" par click kar dijiye.
Step:4)  Ab aapse network se join karne ke liye kaha jayega to simply ya to "Enable" par tap kar dijiye ya fir "Skip" par click kar dijiye and kuch seconds ke liye wait karna.
Step:5)  Iske baad ek screen open hokar aayegi jisme simply aapko "skip" par tap karna hoga and iske baad Zanti ko enable karne ke liye "I am fully authorized to perform penetration testings on the network" par tik karna hoga.
Step:6) Ab simply "finish" par click karna hoga.
To dosto ye to tha ki kaise aap zanti ko install kare apne mobile me ab aage hum ek ek karke seekhenge iske features ya fir kahe program modules  ke baare me jo maine aapko upar bataye hai.So keep reading ....

1. Mac Changer Ko Kaise Change Karte Hai Zanti Ki Help Se

Zanti app ka ek feature hai mac ko change karna to neeche steps me aap jannenge ki kaise wifi mac address ko aap iski madad se badal sakte hai.

Step:1)   Sabse pehle aapko zanti app ko open karna hoga,iske baad navigation key ka use karna hoga ya fir apne mobile se left ki side swipe karna to aapke samne ek screen khul kar aa jayegi.
Step:2)   Ab is screen par aapko ek option dikh raha hoga "MAC Changer" is par tap kariye.
Step:3)   Ab simply "Set new MAC Address" par tap kariye and kuchh seconds tak wait kariye ,zanti app apne aap aapko ek random mac address change karke de dega.
Step:4)   Agar aap chahte hai ki mac address custom ho yaani jo aap chahe bo ho jaye to simply aapko pehle "Generate Random" ko turn off karna hoga and iske baad aap apne man pasand mac address ko type kar sakte hai and type karne ke baad "Set new Mac Address" par click kar dijiye
That's it dosto is tarah ap apna mac address change kar sakte hai.

2. zTether ko kaise use kare

Zanti app me apko ye feature bahut achha lagega kyonki is feature ki help se wifi hotspot create kar sakte hai and apne network ko control bhi kar sakte hai.Abhi jab aap aage isko padhenge to ye jarur kahenge wow..
To dekhte hai neeche step by step kaise zTether ko use kar sakte hai.
Note: Is baat ka dhyan rakhna ki zTether ko use karne se pehle aap apne phone ka wifi turn off kar de otherwise ye sahi se work nhi karega.

Step:1)   Zanti app me ye feature hoga "ztether" ka to simply us par tap kariye
Step:2)   Iske baad "Tether Control" ko turn on kar dijiye ,isse other users aapke network se connect ho sakte hai,jab aapke network se at least ek bhi user connect ho jata hai to aap aasani se tarffic se sath khel sakte ho.
Step:3)   Jab koi bhi user aapke network se connect ho jaye to simply first (Logged request)  "view"  par click kariye ,isse uske sabhi http reaquest aapki screen par open hokar aa jayengi.Itna hi nhi aapko uske sabhi user name and password bhi uske pata chal jayenge jo usne apke network ka use karke apne mobile par open kiye honge.Mera matlab hai ki agar usne apne mobile se facebook,google,twittor etc ko open kiya hoga to usne password aur username to dala hi hoga so ye sab aapko pata chal jayega.
Step:4)  agar aapko uski aur detail chahiye to simply kisi bhi logged activity par click kar dijiye ,isse uski puri detail jaise sessions, passwords, requests and user agents ye sab pata chal jayenge.
Step:5)  Ab agar aap uski HTTP session ko hijack karna chahte hai to simply "session" par click kariye isse ek screen aayegi jisme victims ke sabhi session aapke mobile screen me show karne lagenge.

Step:6)  Aap wo sabhi images ko bhi dekh sakte hai jo usne aapka network use karke facebook ya whatsapp kisi bhi medium se send ki hongi kisi third person ko ,iske liye simply aapko second "view" (Logged Images) par click karna hoga ,isme aapko wo sabhi images mil jayengi.

3. zPacketEditor ko kaise use kare

Ye aapko HTTP  request ko modify karne me help karta hai ,ye basically ek editor hai jo http request ko edit karke and usko modify karke send kar deta hai.
Jante hai zPacketEditor ko kaise use karna hai.

Simply aapko sabse pehle zanti app ko open karke "zPacketEditor"  par tap karna and module ko turn on kar dena hai,isse aap wo  live request and responce dekh payenge.Aur agar aapko inko modify karna hai to right ki taraf swipe karna ,and usko edit kar dena and iske baad simply "send" button par click kar dena hai.
That's it friends

Ab zanti ki agli functionality ke baare me jante hai......

4. SSL Strip ka kya kaam hota hai

Ye basically ek MITM attack hai ,jisk matlab hota hai man in the middle attack,iska kaam hota hai ki kisi secure https connection ko http ki tarah use kare.Ye jo SSL strip hota hai bo bydefault turned on hota hai pehle se hi.Isko main is post me nhi samjh sakta kyonki ye ek bada topic hai jo is post me cover nhi ho payega.

5. Redirect HTTP

Is feature ki help se aap kisi bhi HTTP traffic ko kisi bhi perticular site ya server par redirect kar sakte hai.For example aap zanti use kar rahe hai and aapne zanti me "Redirect HTTP" Ko on karke rakha hai jo bydefault hi turn on hokar aata hai to aapka sara traffic zanti ke server zimperium ko redirect ho jayega by default ,and now ab agar aap is traffoc ko kisi another site ya server par redirect karana chahte hai to aapko sabse pehle setting icon par click karna hoga and wanha par apko ek area dikhega usme aapko wo url dalna hoga janha par http ko redirect karana hai. 
That's it
Ab aage badhte hai apne favorite feature ki taraf jo mujhe sabse achha lagta hai...

6. Replace Images

Ye bahut hi funny trick hai Iski help se aap kisi bhi websites ki images ko (Jo victime ke web browser me hongi) change kar sakte hai.Aur unki image ki jagah par apni images ka use kar sakte ho,To aisa karne ke liye aapko simply "setting" icon par click karna hoga and iske baad "select images" par tap karna hoga.
Ab aap koi bhi image ko select kar sakte hai apne android phone se aur simply fir setting icon par click kar dijiye.Ab kya hoga ki jab bhi koi victim aapke network se connect hokar koi bhi web browser ko open karega to use humesa har jagah aapke dwara selected images hi dikhayi deti rahegi.
Bas dosto aise to iske bahut se feature hai agar main bo sab batane lagunga is post me to ye post bahut jyada lamba ho jayega ,to agle post me main aapko baki ke sabhi ke features ke baare me batunga ,apne agle post me main kaun kaun se feature cover karunga uski list neeche de rakhi hai maine.

How To Perform MITM Attack?
How to Establish Connection to a Device?
How To Check a Target For "ShellShock" Vulnerability?
WiFi Monitor
HTTP Server
How To Scan a Target Device?
password complexity audit
Capture Download
Intercept Download
Replace Downloaded File
Insert HTML
Routerpwn.com

Must Read:

WhatsApp Par Chauka Dene Bali Photo Kaise Bheje-whatsapp image prank
Best 8+ WhatsApp Tricks And Tips In Hindi 2016 (UPDATE)
facebook fan page ke naam ko 200 likes milne ke bad bhi kaise change kare 
FACEBOOK PAR BLANK STATUS kaise DAALE

Bas dosto ye sab hum janenge apne agle post me tab tak liye padhte rahiye seekhte rahiye is website se aaj ke liye bas itna hi kafi hai milte hai next post me jo aur bhi jyada intrested hai.Agar aapko ye post pasand aaya ho to please isko share jarur kariye apne dosto ke sath and unko bhi batayiye meri is website ke baare me.Main iske liye aapka thankful rahunga humesa.

Viewing all articles
Browse latest Browse all 100

Trending Articles