Quantcast
Channel: ExtraTipsTricks(ETT)
Viewing all articles
Browse latest Browse all 100

Janiye 2 Best Method Apne Rooted Phone Ko UnRoot Karne Ke Liye

$
0
0

{{Two Simple Methods to Unroot Any Rooted Android Device}}
 

Ye to sabhi android users jante hi honge ki Root kya hota hai aur android phone ko kis tarah se root karte hai but dikkat tab aati hai jab aap chahte hai ki aapka phone fir se unroot ho jaye taaki aap apni waranty ko safe kar sake,Baise kayi log is wajah se Apna mobile unrooted banana chahte hai taaki future me unka phone dead na ho kyonki root karne ke baad ye problem aati hai,by the way hum is post me aapko ye sab batane nhi ja raha hoon iske liye aap ye post padh sakte hai apne phone ko root kaise kare 6 method se ,isme maine aapko sari detail batayi hai ki root kya hai kaise kaam karta hai aur kaise phone ko root karte hai ,Root se kya kya profite hai kya kya loss hai etc .

Aaj ke is post me hum simply 2 method par baat karenge jinki help se hum apne smartphone  ko unoot bana sakte hai aur wo bhi badi asani se.Agar aapke liye koi ek method kaam na kare to aap dusra method try kar sakte hai aur agar ek baar aapka phone unroot ho gaya to aapka phone fir se stock firmware with valid warranty me aa jayega.
To chaliye ek ek karke dono method try karte hai aur jante hai kis tarah apni android phone even tablet ko unroot ki posion par laye.Usse pehle aapko neeche bala note jarur padna chahiye.


Note: Isse pehle ki ap apne phone ko unroot kare main advise dunga ki aap apna pura data backup kar le kyonki unroot karte time sara data jo bhi mobile me store hoga sab delete (wipe out) ho jayega ,aap chahe to apne sabhi applications,contacts,sms,calls,images,videos,photos,audios,documents etc sabhi apni micro sd card me save kar le yaa fir apne computer me save kar le taaki aapko aage dikkat na ho .Aap ye sab karne ke liye simply Es file explorer ki hep le sakte ho usse badi hi asani se sara data aap backup kar sakte hai.

Method #1: Use SuperSU app (Easy Method)

Ye ek achha method hai jo kisi bhi rooted phone ko fir se unroot karne ka aur isme apko koi technical knowledge ki bhi jarurat nhi padegi aur ap asani se apna task pura kar sakte hai ,bas aapko neeche diye gaye steps ko sahi se follow karna hoga.Is method ki khaas baat ye hai ki isme aapko koi custom recovery bhi install karne ki jarurat nhi padegi.
 

1. sabse pehle superSU app ko download  kar lijiye apne rooted device me neeche di gyi link se.
Download superSU

2. iske baad aapko superSU app ko open karna hoga aur uski setting me jana hoga  aur iske baad full unroot par tap karna hoga.
 

3. Iske baad aapse confirmation liya jayega ki aap sach me mobile unroot karna chahte ho to simply continue bali option par click kar dijiye.
 

4. Ab apke phone ko unroot karne ki process start ho jayegi aur kuchh samay baad superSU apke phone ki unroot kar dega aur apne aap close ho jayega.
 

5. Apne device ko restart karna aur ye check karna ki aapka phone unroot ho chuka hai ya nhi ,agar ho gaya hai to ab simply superSU app ko uninstall kar dena.
 

That's it dosto try this method and i hope you will get success.

Method #2: Use ES File Explorer (Simpler But Some Technical)

Aap me se lagbhag sabhi log Es file explorer ke baare me sun chuke honge,kyonki ye ek aisa tool hai ya kahu ye ek aisa multi useful tool ya apps hai jiski jarurat lagbhag sabhi logo ko padti hai,iske feature ke mamle me is app ki koi saikh nhi kar payega.To kya jante hai ki is simple se file manager ki help se ap apne phone ko unroot bana sakte hai ,chalo jante hai kaise neeche ke steps ko sahi se follow kariye.

1. sabse pehle apke phone me agar es explorer nhi hai to aaj hi download kar lijiye kyonki ye bahut si jagah par kaam aata hai ,aap ise neeche di gayi link se downlaod kar sakte hai.

 Download Es file explorer

2. Iske baad aapko side me ek menu option dikhega aur wanha par kafi sare option honge row vise to simply tools bale section me jana wanha par ek option hoga root explorer ka Feature hoga usko enable kar dena yaani on kar dena.
 

3. Ab agar es explorer root ki permission mange to simply grant kar dena permission aur allow kar dena use root access karne ke liye.
 

4. Ab aapko kya karna device memory me jana hoga yaani phone memory me (sd card me nhi jana hai ) .
 

5. Phone memory me aapko bahut se folder and files hogi unme se aapko system bale folder par jana hai.
 

6. aur isme ek folder hoga bin ka isme jana hai.
 

7. Is bin folder me aapko 2 files milengi busybox and su ke naam se unko delete kar dena.(Agar aaapko ye dono apps na mile to simply aage OR bala section dekhiye.)
 

OR 

 Agar step 7 aapke mobile me kaam na kare to kya kariye simply aapko system bale folder me ek folder dhundna hoga jiska naa hai xbin isko open karna aur isme dekhna busybox and su file hogi unhe delete kar dena.
 

8. Ab kya karna jab aap ye dono file wanha se delete kar de to fir se device memory me aana aur system folder me aana aur yanha par ek folder hoga apps ka usko open karna aur superuser.apk naam ki koi file hogi usko delete kar dena .
 

9. Bas ab aap apne phone ko uninsall kariye aur aap dekhenge ki aapka phone puri tarah se unroot ho chuka hoga.

Over To You:

Maine aapko upar 2 method bataye kisi bhi android mobile ko unroot karne ke liye agar aapko kisi method me koi dikkat ho to aap mujhse puchh sakte hai ,but meri apse ek request hai sabhi step sahi se follow karna jaise bataya gaya khaas taur par second method ko sahi se follow karna kyonki agar aapne galti se koi galat system file delete kar di to aapko dikkat ho sakti hai ,Device ki system bali files ko agar aap nhi jannte to hath bhi mat lagana chahiye.
Aur Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke  meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks aur hack la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche

Viewing all articles
Browse latest Browse all 100

Trending Articles