Quantcast
Channel: ExtraTipsTricks(ETT)
Viewing all articles
Browse latest Browse all 100

Computer and Android Phone ya fir kisi website ka IP Address kaise pata karte hai

$
0
0

Important Notice:Agar aap hacking karne me interest rakhte hai to abhi yanha click karke ek app apne mobile me download karke install kar le.Is app ke andar aapko bahut se hacking apps mil jayenge wo bhi free me.


Hello dosto aaj ke is post me aap janenge ki kaise aap apne android smartphone ya fir computer ka ip address pata kar sakte hai.Kabhi kabhi hume various task ke liye ip address ki jarurat padti hai jaise agar hum apne system ko ek server banate hai to ip address ki jarurat padti hai,koi spy program banate hai to ip ki jarurat padti hai etc.Agar aapne mera pichhla post miss kar diya hai jisme maine computer ke sabhi technical words ke baare me bataya hai to aapko use jarur padhna chahiye bahut important hai wo post.To yanha par aap detail se ye jaan payenge ki ip actual me hota kya hai aur ise kaise find out kiya jata hai.To sabse pehle aapko janna chahiye 

What Is IP Address?

Aapko bata du ki every computer ya mobile jo internet se juda hai uska ek apna ip adress hota hai.Actual me ip adress internet par computer ki pehchan hoti hai jis tarah election voting card hum logo ki pehchan hoti hai bilkul usi tarah.Ise aise samjha ja sakta hai ki jaise internet par aapke computer ka mobile no.ho aur aisa no. jis par internet se aapse contact kiya ja sake.Bina kisi computer ka ip adsress pata kiye hum internet par kisi bhi computer se connection nhi bana sakte hai.Ab to aap samajh gaye honge ki aapke computer ka ek ip address hota hai,aapke friends ke computer ka apna alag ip address hota hai.Yanha tak ki aapki favorite website ka bhi apna ek ip address hota hai.Aur aapko bata du kisi ip address ka formate kuchh is tarah hota hai for example 123.54.68.323

A) Computer Ka IP kis Tarah Pata Kare?

Computer ka ip address aap 2 tariko se pata kar sakte hai .
  • 1. Using cmd
  • 2. Using Google
Must Read
Apne computer ko automatically shut down kaise kare ek nishchit time ke baad 
Godmode kya hai aur isko kaise enable karte hai computer me 
4 Tarike Kisi Bhi Tarah Ka Password Todne (Crack) Ke Jo Hacker Use Karte Hai 
whatsapp par time set karke message kaise bheje-Schedule Whatsapp Messages 
 

Method:1-Using CMD To find Out IP

Iske liye aap neeche diye gaye steps ko follow kariye.
 

Step:1) Sabse pehle aapko apne computer ko internet se connect karna hoga.
 

Step:2) Ab aapko command prompt (cmd) open karni hogi,agar aap nhi jante ki cmd kaise open karte hai to simply window button dabakar cmd search kariye to ek chhoti black pop up window khul kar aa jayegi.
 

Step:3) Ab cmd me neeche diya gaya ek command type kariye aur enter ki button press kariye.
ipconfig

Step:4) Jiase hi aap enter button dabaoge to command execute ho jayega aur aapke samne aapke computer ka ip address khul kar aajayega fir aap use note kar sakte hai.
 

 Method:2-Using Google To Get IP

Agar aapko computer ke cmd ki janakri sahi nhi lagi to aap simply google ka sahara le sakte hai ,aapko karna kya hoga bas computer ke web browser ko open karna aur simply search box me ye search karna "What Is My IP" .Jaise hi aap search ki button press karenge to aapke samne result me aapko aapke computer ka ip address mil jayega.
 

B) Kisi Website Ka IP Kaise Check Kare?

Agar aapko kisi bhi perticular website ka ip address janna hai to iske liye maan lo for example google.com ka ip address janna hai to to simply apne computer me cmd (command prompt) open karna aur ye command type kar dena ping google.com iske baad enter ki button daba dena.Isse aapke computer par google.com ka ip address show karne lagega.Lekin dhyan rakhna ki main maan ke chal raha hoon ki aapke computer internet se juda hua hai mera matlab us par internet chal raha hona chahiye tabhi ye command work karega.

C) Android Device Ka IP Kaise Pata Karte Hai?

Android phone ka ip check karne ke liye mainly 3 tarike hai  jo neeche diye gaye hai.
 

Method:1) Bahut hi simple hai dosto iske liye sirf aapko is site par click karna hoga whatismyipaddress.com  aap jaise hi is site par pahuchenge to dekhenge ki aapke mobile ka ip aapke samne hoga.

Method:2) Aur dusra tarika same hai jaise maine upar diya hai ki Google par jayiye apne mobile phone se aur search kijiye what is my ip and hit on search button.Iske baad aapko result me aapka ip address show hone lagega.
 

Method:3) Itna hi nhi aap apne android phone ka ip address janne ke liye ek app ka bhi use kar sakte hai jiska naam hai Network utilities  aap ise is link  par jakar download kar sakte hai.

To dosto kaise laga aapko ye post ,i think aap jo cheej janne ke liye yanha oar aaye honge aapko mil gayi hogi.Agar post pasand aaya ho to please ise share karna na bhoole.
Thank you..

Viewing all articles
Browse latest Browse all 100

Trending Articles