Quantcast
Channel: ExtraTipsTricks(ETT)
Viewing all articles
Browse latest Browse all 100

Kisi website ke pure data ko kaise download kare Using HTTrack?

$
0
0
Ye post aapke liye bahut faydemand ho sakta hai kyonki is post me aap janenge ki kaise aap apni favorite website ko use kar sakte hai bo bhi bina kisi internet connection ke.Is post me main aapko bataunga ki kaise aap kisi bhi perticular website ko pura ka pura download kar sakte ho jisse aap use offline access kar sake apne pc par.So is trick ka use karke aap without internet connection ke site ko access kar paoge.

Is task ko pura karne ke liye main aapko aaj ek aise software ka use karna sikhaunga jiska naam hai HTTrack .Ye ek best copier software hai jo kisi bhi webiste ke pure ke pure data ko copie kar leta hai aur aapko us website ko offline pryog karne ka feature deta hai.

To ab is software ko kaise use kiya jaye uske liye aapko neeche diye gaye step by step process ko follow karna hoga .

Follow these steps to download a website for offline viewing using HTTracks:



Step:1) Sabse pehle to apko WinHTTrack ko download karna hoga.Neeche di gayi link par click karke aap is software ko download kar sakte hai .
Download 
Step:2) Download karne ke baad isko install karna hoga ,to simply download ki gayi file par double click karke usko install kijiye ,sabse pehle iska welcome page open hokar aayega. Simply "Next" par click kar dena

Must Read:
Instagram ki 10 best Tips and Tricks hindi me 
Learn Free Online Full Ethical Hacking Course In Hindi Step By Step By Ajay Soni 
Hacker kaise SQL Injections ka prayog karke kisi bhi vunerable website ko hack karte hai 
Facebook ka pura data (with messages and photos ) kaise download kare

Step:3) Ab aapko project type and category ka naam choose karna hoga ,to aap yanha par koi bhi naam choose kar sakte hai jo aap chahe aur simply again "Next" par click kar dijiye.

Step:4) Ab aapko action ke front me drop down menu dikh rahi hogi,wanha select kariye "download website"



Step:5) Ab aap simply us website ka url daal dijiye jisko aap download karna chahte hai.

Step:6) Iske baad set options par click kariye aur wanha par use proxy for ftp transfers ke check box ko untik kar dijiye.Aur fir "okay" par click kar dijiye.

Step:7) iske baad "Next" par click kar dijye and fir "finish" par

Step:8) Ab aap dekhenge ki website ko download karne ki process start ho gayi hogi.Aap isko kisi bhi time cancel bhi kar sakte hai aur utne timr me jitna bhi data downoad hua hoga usko access bhi kar sakte hai.

Step:9) Ab jab process puri complete ho jaye tab aap us website ko is location par jakar padh sakte hai click on file>>click on browse file ,and yanha par aapko aapne jitni bhi website download ki hui hai wo sabhi show kar rahi hongi.

Step:10) Aap apni dowloaded websites ko direct bhi open kar sakte ho uski location hogi c drive>>my website>>offline websites>>index.html (Note: aap isko achha hoga ki chrome web browser se open karna)

Important Tips:

Aapki jo favorite website hai use offline banane me ek cheej dhyan me rakhna ki jab bhi ap usko download kar rahe honge to sirf uska utna hi data download ho jayega jitna usme hoga ,matlab ho skata hai us website par 2 din baad aur bhi data aa ajayega to wo aapko update karna padega ,aap us downloaded website ko badi hi aasani se update kar sakte hai ye is software ka sabse achha feature hai,iske liye aap kya kariye ki jo aapne step  4 me download website select kiya tha wanha par update the downloaded data or update existing website data naam ke option honge unhe select karke apni downloaded website ko update kar sakte hai.

Must Read: 
Facebook Ke All Message Kaise Delete Karte Hai Ek Hi Click Me 
Google play store ki 8 best important tricks hindi me 
1 Mobile me 2 whatsapp ,2 messenger, 2 instagram,2 gmail chalaye
PART 3 Email Hacking (All About Email) In Hindi-Ethical Hacking Full Course By Ajay Soni


Agar aapko ye article pasand aaya ho to please isko share karna na bhoole.Aap isko facebook ya kisi aur bhi socila networking site par share kar sakte hai.

Viewing all articles
Browse latest Browse all 100

Trending Articles