Hello dosto welcome back here at ExtraTipsTricks,To dosto command prompt ke baare me to aap jante hi honge aur ye bhi jante honge ki cmd ka upyog different different type ki information pa sakte ho wo bhi sirf ek single command execute karke.Cmd ek best powerful tool hai jo windows me pehle se hi inbuilt hota hai.Aaapko bata du ki aap cmd ki help se almost anything kar sakte hai so iske liye maine ek list taiyar ki hai jisme main apko cmd ke bo sabhi command ke bare me batunga jo jyadatar newbie hacker use karte hai. Agar aap hacker banna chahte hai to cmd ke ye command aapko yaad rakkhne honge bahut achhe se kyonki ye sabhi command bahut si jagah par baar baar use hote hai so aapko inki importance ko samjhna chahiye.
To sabse pehle to aap ye jaan lijiye ki cmd ko open kaise kiya jata hai kyonki jab yhi pata nhi hoga to aage sab kuchh batana bekar hai dosto.CMD ko open karne ke liye aapko simply apne keyboard ki windows key press karni hogi jisse ek search baar khul kar aa jayega usme aapko search karna hoga "cmd" aur enter ki button dabani hogi.
Ye Bhi Padhe:
Now Let’s start easy…...
1. ping
Ping command ka use karke aap kisi bhi ip address ya fir website ki bahut si information find out kar sakte ho.Iska use karna bilkul simple hai simply neeche diya gayi command line cmd me paste kare aur enter ki button dabaye.
Note: Google ka ip address hota hai 8.8.8.8 to aap iske alava koi bhi ip ko check kar sakte hai bas aapko 8.8.8.8 ki jagah par us ip address ko dalna hoga.
OR
Command----- ping www.google.com
Note: www.google.com ki jagah par aap bo website dal sakte ho jiski aap information chahte hai.
2. nslookup
(A) Ye command bahut useful hai jisme bahut sari functionalities hai,maan lo aapke paas ek website hai aur aap us website ki ip address find karna chahte hai to simply neeche diye gaya command execute karana hoga.Ye command line website ke DND ko ip me resolve karta hai.
Command---- nslookup www.google.com
Note: www.google.com ki jagah par aaap bo website daal sakte ho jiski ip aapko pata karni hai.
(B) Is command ki ek aur functionality hai ,maan lo apko kisi specific mail servers ki ip find out karni hai to simply neeche diya gaya command execute karana hoga.
nslookup (enter ki button dabaye)
set type=mx (fir se enter ki button dabaye)
yahoo.com
Note: Upar diye gaye command se aap yahoo.com ke mail server ki ip ka pata laga sakte hai,ab ap soch rahe hai iska use kya hai,to jaan lijiye isi function ka use karke hacker fake or spoof email send kar pate hai ,iske baare me main aapko aage bataunga next post me.
Ye Bhi Padhe:
3. tracert
Is command ki help se aap packets ke traveling par najar rakh sakte hai aur uski destination pata kar skte hai.Ye command un logo ke liyebahut faydemand hai jo packet ke route ke baare me janna chahte hai ki bo kanha se start huya aur uska target box kaun sa hai.Jaise maan lo apko kisi perticular ip ka route janna hai to neeche diya gaya command cmd box me execute kariye.
command----- tracert x.x.x.x
*OR*
Ya fir aapko kisi website ka route check kar sakte hai iske liye neeche diya gaya command use kijiye.Aap google.com ki jagah par koi bhi website check kar sakte hai.
Command----- tracert www.google.com
4. arp
Is command ki help se aap arp table show hone lagti hai.Isse aap ye pata laga sakte hai ki kaun arp positioning technique ka use kar raha hai LAN connection me.Aap neeche diya gaya comand execute karne pata lagaya ja sakta hai ye um logo ke liye helpful hai jo LAN connection use karte hai
Command----- arp -a
5. route
ye command routing table,gateway,interface and matric ko show karne me useful hai.Neeche diye gaye command ka use kariye.
Command----- route print
6. ipconfig
(A) Is command ki help se aap bahut kuchh pata kar sakte hai jaise Apna ip address,DNS in use,etc ,aapko is command ka use karna jarur aana chahiye kyonki ye bahut important command hai jo aapke system ki puri information aapko provide karayega.
Command----- ipconfig
or
command---- ipconfig /all
(B) Agar apke system ki dynamic IP hai to aap use change kar sakte hai neeche diye gaye command se.
command---- ipconfig /release
(C) agar aap apna ip renew karna chahte hai to neeche diya gaya command use kariye
command---- ipconfig /renew
ye bhi padhe:
7. netstat
(A) Ye command aapke connection ke states show karega.
Command----- netstat
or
(B) Kuchh aur commands:
netstat -a (listening ports and connection with DNS names ke baare me batayega)
netstat -n (show you all the open connection with IP addresses)
netstat -an (ye command upar diye gaye dono command ka mixutre hai)
net view x.x.x.x or computername (will list the available sharing folders on the target box)
8. netuser
(A) Iss command se aap aapne computer ka password changekar sakte hai bina kisi old password ke.
command---- net user Ajay soni
Note: Change Ajay soni with your computer name,iske baad enter ki button dabayiye fir new password daal dijiye 2 baar,password jab type karenge to bo dikhta nhi hai so tension mat lena
(B) kuchh aur cmd commands:
Command--- net use \ipaddressipc$ “” /user:administrator
(this command will allow you to connect to the target as administrator)
Now if you want to connect to the target and browse the entire C drive, then use this command:
command---net use K: \computernameC$
(this will create a virtual drive on your “my computer” folder)
Please not that this command will only work if the target PC/laptop has not set a Adminastrator Password.
9. help command.
Is help comand se ap sabhi type ke command ke baare me pata laga sakte hai ,iske liye neeche diya gaya command execute karo aur isse bahut sare command khul kar aa jayenge aapke samne jo aapke liye bahut faydemand honge.
command--- whatevercommand /help
or
command----- whatevercommand /?
To dosto ye kuchh important command the jo aapke kaam aa skate hai ,iske agle post me main aapko aise hi 100 command ki list taiyar karke provide karaunga jo important hai for knowledge point of view.Agar apko yepost pasand aaya ho to please ise share karna na bhoole.