Quantcast
Channel: ExtraTipsTricks(ETT)
Viewing all articles
Browse latest Browse all 100

Android Phone Ke Liye Best Firewall App-Security Guide

$
0
0

NonRoot Firewall : Control Which Apps May Access The Internet On Your Android Device
 

Agar aap apne internet ka kharcha kam karna chahte hai to ye post apke liye faydemand ho sakta hai.Kyonki kya hota hai ki jab bhi aap apne android mobile me internet chala rahe hote hai to silently background me bhi kuchh apps run ho rahe hote hai jo aapke internet data ko loss karte rehte hai aur actual me unka koi use bhi nhi hota hai.Isme hum aapko ek aise firewall apps ke baare me bataunga jo aapko time time par notify karata rahega.Is app ka naam hai NoRoot firewall ,is app ki khasiyat ye hai ki isko use karne ke liye aapko apna mobile root bhi nhi karna padega kyonki ye without rooted phone par bhi sahi work karta hai.

Firewall ka matlab to aap samjhte hi hoge ki kisi bhi data packets ko apke mobile se unnesesary bahar na jane dena.Agar koi app background me run ho raha hai to iska matlab ye hai ki wo app background me apke mobile ki some information internet ki help se bahar bhej raha hoga,to firewall ka kaam yahi hota hai ki bahar jane bale data par nigrani rakhna kyonki ho sakta hai ki kisi ne aapke phone me spy software install kardiya ho to is Noroot firewall aapko nnotify kar dega ki kuchh illigal activity ho rahi hai background me.
Aise bahut se feature is Noroot firewall me jo aapke internet data ko jyada kharch hone se bacha skate hai,agar koi app internet use karega to apko pata chal jayega ki kaun sa app kitna data use kar raha hai aur kaun kaun se app aapke internet ko access kar rahe hai,ye apko notify karega aur apse puchega ki is app ko internet access karne ke liye allow kare ya deny kare.

NoRoot Firewall Ke Kuchh Important Fayde?

Neeche main aapko kuchh points bata raha hoon jisse aap samjh jayenge ki Noroot app ka use karke aap kya kya kr sakte hai.

Ye bhi padhe:

Apne Mobile Number Ko True Caller Se Kaise Hataye (Remove Kare)
Android Device ko apne computer ke liye Microphone ki tarah kaise prayog kare
Mozilla Firefox Ki Internet Speed UpTo 60% Tak Badhane Ke Liye Kuchh Tips
Windows Computer Me Folder Ka Color Kaise Change Karte Hai 

1. Ye app real VPN connection provide nhi karata lekin Agar aap is app ko use kar rahe hai to ye aapke internet data ko kisi bhi server ko send nhi karega agar aap chahenge to.
 

2. NoRoot firewall app aapko allow karta hai ki ap kisi bhi IP address,host name or domain name ko filter kar sakte hai,aur sirf specific connection ke liye hi allow aur deny kar sakte hai.
 

3. Sabse achhi baat ye hai is app ki ye aapke sare connection ka log ready karta rehta hai,jisme aapko pata chal jayega ki kab aapne kis time kaun sa app,website,ya kisi ip par gaye hai.Time and date ke sath pura data show kar deta hai jisse aapko kafi had tak apne mobile ki traffic ki detail mil jati hai.
 

4. Aap is NoRoot firewall ki help se kisi bhi app ko boot par configure kar sakte hai jo always active rahega aapke mobile phone par. 


Ye Bhi Padhe:

Hacker Kaise Bane Aur Hacking Karna Kis Tarah Se Seekhe Hindi M
Kaise pata lagaye ki kisne aapko whatsapp par block kar diya hai
Android Phone Ko Ek Surveillance Camera Ki Tarah Kaise Use Kare
WhatsApp par kisi ki bhi last seen kaise dekhe agar bo hide ya block kiye huye ho tab bh

Now aap is NoRoot firewall app ko google play store se download kar sakte hai ya fir directly neeche di gayi link se download kar lijiye.
Download NoRoot Firewall 
Developer: Grey Shirts
Price: Free

To dosto i think aapke mobile ke liye ek perfect solution hai agar aap ek firewall ke baare me search kar rahe hai to,ye app aapke phone ke liye complete protection hai.Agar aapko ye post pasand aaya ho to please ise share karna mat bhoolna.


Thanks For visiting ExtraTipsTricks.....

Viewing all articles
Browse latest Browse all 100

Trending Articles