How To Change Skin In VLC Media Player?
Hello dosto ,isme koi sak nhi hai hum me se aisa koi bhi insaan hoga jo vlc player ke baare me naa janta ho.Sabhi log isko jante hai kyonki iski popularity ka koi andaja nhi hai .Lagbhag sabhi type ke operating system ke liye design kiya ja chuka hai ab chahe bo windows ho,mac ho,linux ho etc.Itna hi nhi isko lagbhag sabhi mobile phones ke liye bhi banaya gaya hai .Vlc media player ke popular hone ki wajah hai ki wo sabhi prkar ke codec ko play karne me maahir hai ,ye ek most versatile video player hai.Kya aap jante hai ki vlc player ke video or movie play karne ke sath sath disks,webcames,devices,and stream etc ka bhi use kar sakta hai.
Lekin aaj ke is post me main aapko bataunga ki kaise aap apne old vlc media player ki skin ya theme ko change krke usko aur bhi attractive bana sakte hai.
Must Read:
VLC Ki Skin Change Kaise Karte Hai Step By Step.
Step:1 ) Sabse pehle aapko jarurat padegi ek skin ki jise aap apne vlc player par set karna chahte hai ,To aap is website https://www.videolan.org/vlc/skins.html par jakar koi bhi skin (theme) select karke usko download kar sakte hai.Is website par aapko bahut sari skins mil jayengi jo aapke purane vlc ko ek achha look de sakti hai.Aapko jo achhi lage use download karke aage ke step follow kariye.Step:2 ) Iske baad aap jo skin file download karenge to dekhenge ki us file ka extension VLT (.vlt) hoga, ise apne computer ke desktop par save kar lena taaki aapko koi dikkat na ho aur aapka kaam aasani se ho jaye.
Step:3) Now ab apna vlc media player ke icon par click karke use open kariye.
Step:4 ) Jab vlc open ho jaye to simply "Tools" me jana jo upar menu baar me hoga.
Step:5 ) Iske baad "Preference" par click karna hoga aapko.
Note: Aap direct apne keyboard se "ctrl+p" ki button press karke yanha tak aa sakte hai.
Step:6 ) Iske baad aapko "Interface" bala option select karna hoga.
Step:7 ) Yanha par aapko 2 option dikh rahe honge sabse upar side language section me, first "Use native style" and second "Use custom skin" isme se aapko sabse pehle dusre option "Use custom skin" par radio button enable karna hai
Must Read:
Step:8 ) Ab iske neeche aap dekhenge ek option hoga "skin resource file" iske aaage ek button hogi "choose" ki is par click karna aur wahi file select karna jo aapne step 1 me downoad ki thi .vlt extension bali.
Note: Aap upar ke 4 steps neeche diye gaye screenshot se samjh sakte hai

Step:10 ) Ab apne vlc media player ko close karke usko open kariye to aap dekhenge ki aapke vlc media player ki skin change ho gayi hogi aapke anusaar.
Note: Dosto vlc ki skin change karne se pehle me main aapko bata du ki isko wisely check kar lena kyonki kuchh skin aisi hoti hai jinme aapko "tools" ka option ho sakta na dikhe jisse aapko again skin change karne me problem ho but uskme bhi tools ka option hoga bas wo aapko dekhna padega ho sakta ki wo saf saf menu baar me dikh raha ho ya fir uski screen par right click karne se aaye ,is liye is baat ka yaad rakhna ,baise koi problem nhi hoti hai don't worry .
To dosto kaisa laga aapko aaj ka ye post comment karke batayiye jarur ,taaki main apne readers ke man ki baat jaan saku jisse mujhe help milegi aapko achhe topic par post provide karane me.Agar aapko ye post pasand aaya ho to isko share karna mat bhooliye.